Seedha content par jayein
Tijarat POSPOS & Billing Software

Pakistani Dukaanon Ke Liye POS Aur Billing Software — Internet Ke Baghair Bhi Chalta Hai

Tez billing, stock, udhaar khata aur poore accounts ek jagah. Bill WhatsApp par bhejein. Offline chalta hai aur khud sync hota hai.

Sales screen jis par customer, cash ya udhaar bill, discount wali item lines aur bill ke totals nazar aa rahe hain
  • Online + OfflineInternet chala jaye, billing nahi rukegi.
  • Auto SyncInternet wapas aate hi sab data khud sync.
  • Secure LoginsHar user ka alag login aur permissions.
  • Super-Fast BillingScan karein ya naam likhein, Enter — bill tayyar.

Chalta hua dekhein

Software ka mukhtasar tour

Billing, items ki list, sales report aur purchase return: wo screens jo aap roz istemal karenge, asal software mein record ki gayi.

Online + Offline

Internet gaya? Koi masla nahi.

Load-shedding ho, router kharab ho ya cable kat jaye — counter billing karta rahega aur baad mein sab kuch khud sync ho jayega.

  1. Bill banayein offline

    Internet band ho to bhi counter normal chalta hai: search, Enter, save, print.

  2. Data dukaan ke system mein safe

    Har bill aur payment dukaan ke apne system par mehfooz save hoti hai.

  3. Internet aate hi auto sync

    Connection wapas aate hi sab kuch khud online account mein sync ho jata hai.

Offline billing aur auto sync kaise kaam karte hain

Tez billing

Rush mein bhi bill seconds mein

Barcode scan karein, ya item ka naam ya SKU likh kar Enter dabayein. Item bill mein aa jata hai. Baqi kaam keyboard shortcuts karte hain.

  • Barcode, SKU Aur Naam Se SearchScan karein ya naam likhein, Enter dabayein — item bill mein.
  • Item Aur Bill Par DiscountDiscount % ya rupay mein — har line par ya poore bill par.
  • Keyboard ShortcutsMouse ki zaroorat kam, counter tez.
  • Bill Print KareinEk click mein printed bill.
  • Bill WhatsApp Par BhejeinBill seedha customer ke WhatsApp par.
WhatsApp bill kaise kaam karta hai
Bill ki table jis mein item code, naam, tadaad, unit, price aur har line ka discount hai

Udhaar aur khata

Udhaar ka poora hisaab — register ki zaroorat nahi

Cash ho ya udhaar, har bill sahi khate mein jata hai. Customer ko purana baqaya nazar aata hai aur aap ko pata hota hai kis ne kitna dena hai.

  • Cash Aur Udhaar BillCash ho ya udhaar — har bill ka sahi hisaab.
  • Har Bill Par Purana BaqayaBill par purana baqaya bhi, naya bhi.
  • Udhaar Aur Customer KhataRegister ki jagah saaf, poora khata.
  • Cash Receipt Voucher (CRV)Customer se payment receive karna — seedha khata update.
Udhaar khata software ke baare mein
Bill ke totals jin mein purana baqaya, net payable, wusooli aur baqi raqam nazar aa rahi hai

Stock aur purchase

Har aane jaane wala item record mein

Poori dukaan ke liye items ki ek list. Purchase se maal andar aata hai; sale aur returns usi list par record hote hain.

  • Items (Product Master)Saare items ek jagah — code, naam, unit, price.
  • PurchaseSupplier se maal aaya? Purchase bill mein daalein.
  • Purchase ReturnSupplier ko maal wapas — hisaab bhi saath.
  • Sale ReturnCustomer ne item wapas kiya? Seedha return entry.
Purchase aur returns tafseel se
Category ke hisaab se items ki list, jis mein item code, naam, sub category, sale rate aur unit hai

Accounts aur reports

Accountant ki zaroorat kam

Reports aur poore accounts unhi bills, purchases aur vouchers se bante hain jo aap rozana daalte hain.

  • Sales Aur Purchase ReportsAaj kitna becha, kitna khareeda — ek nazar mein.
  • Khata ReportsKisi bhi customer ya supplier ka poora khata print karein.
  • Trial Balance Aur Balance SheetAccountant ki zaroorat kam.
  • Cash Payment Voucher (CPV)Supplier ya kharchon ko payment — sab record mein.
Accounts aur reports dekhein
Sales report jis mein har invoice ki item lines, invoice ka total aur din ka total hai

Multi-user aur security

Dukaan aap ki, usool aap ke

Har staff member ka apna login, aur aap faisla karein ke kaun kya khol sakta hai. Mukammal bill mukammal hi rehte hain.

  • Har User Ka Alag LoginHar staff member ka apna login.
  • Role Ke Hisaab Se PermissionsKaun kya kar sakta hai — faisla aap ka.
  • Post / Unpost ControlFinal bill mein chupke se tabdeeli nahi.
  • Data Online MehfoozComputer kharab ho jaye, data mehfooz.
Users aur security kaise kaam karte hain

Price? Seedhi baat, rupay mein.

Aap ki dukaan aur users ke hisaab se saaf price rupay mein, koi chhupi hui fees nahi.

Qeemat dekhein

Sawal jawab

Aksar poochay janay walay sawal

Kya ye software internet ke baghair chalta hai?

Ji haan. Tijarat POS online aur offline dono tarah chalta hai. Internet chala jaye to bhi counter bill banata rehta hai, kuch nahi rukta.

Offline banaye gaye bills ka kya hota hai jab internet wapas aata hai?

Offline hone ke dauran woh dukaan ke system par mehfooz save rehte hain. Internet wapas aate hi tamam bills, payments aur tabdeeliyan khud online account mein sync ho jati hain. Kisi ko upload nahi karna parta.

Kya mera data secure hai?

Ji haan. Har user ka apna login hai, aap tay karte hain kaun kya dekh sakta hai, aur data online mehfooz backup hota hai. Posted bills chupke se nahi badal sakte.

Kya ek se zyada users chala sakte hain?

Ji haan. Kayi users add karein, har ek ka apna login aur permissions, taake pata rahe kis ne kaun sa bill banaya.

Kya customer ko bill WhatsApp par bhej sakte hain?

Ji haan. Sales screen se seedha customer ke WhatsApp par bill bhejein, ya print karein.

Kya udhaar / credit ka hisaab rakh sakte hain?

Ji haan. Bill par Credit chunein aur woh customer ke khate mein chala jata hai. Har naye bill par purana aur baqi baqaya nazar aata hai. Payment Cash Receipt Voucher (CRV) se record hoti hai.

Kya purchase aur returns bhi manage hote hain?

Ji haan. Purchase, purchase return aur sale return ki apni screens hain, aur supplier ka baqaya khate mein khud update hota hai.

Software ki price kya hai?

Price aap ki dukaan aur users ki tadaad par depend karti hai. Qeemat ka page dekhein, ya exact quote ke liye WhatsApp karein.

POS software ke tamam sawal jawab dekhein

Aaj hi free demo lein — 15 minute mein samajh aa jayega

Software ko apne jaise items ke saath chalta hua dekhein. Koi pabandi nahi, koi dabao nahi.